
Singer– Kishore Kumar
Lyrics– Sahir Ludhianvi
Music– Rajesh Roshan
This Ek Rasta Hai Jindagi lyric is from the movie Kaala Patthar which is a 1979 Indian Hindi-language action drama film produced and directed by Yash Chopra, with a screenplay written by Salim–Javed. The film was based on the Chasnala mining disaster and is the fourth collaboration between Amitabh Bachchan, Shashi Kapoor, and director Yash Chopra, which succeeded the films Deewaar (1975), Kabhie Kabhie (1976), and Trishul (1978).
Ek Rasta Hai Jindagi Lyrics Starts From Here
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
Yeh kadam kisi muqaam pe
Jo jam gaye to kuchh nahi
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
O jaate raahi, o baanke raahi
Meri bahon ko, in raahon ko
Tu chhod ke na ja, tu wapas aa ja
Woh husn ke jalwe hon
Ya ishq ki awaazein
Azad parindon ki
Rukti nahi parwaazein
Jaate huye kadmon se
Aate huye kadmon se
Bhari rahegi raah guzar
Jo hum gaye to kuchh nahi
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
Yeh kadam kisi muqaam pe
Jo jam gaye to kuchh nahi
Aisa gajab nahi dhana
Piya mat jaana bideswa re haaye
Aisa gajab nahi dhana
Piya mat jaana bideswa re
Haaye hamka bhi sang liye jaana
Piya jab jaana bideswa re
Ho jaate huye raahi ke
Saaye se simatna kya
Ik pal ke musafir ke
Daaman se lipatna kya
Jaate huye kadmon se
Aate huye kadmon se
Bhari rahegi raah guzar
Jo hum gaye to kuchh nahi
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
Yeh kadam kisi muqaam pe
Jo jam gaye to kuchh nahi
Ik rasta hai zindagi
Jo tham gaye to kuchh nahi
Nice song. I love this.